Friday 3 May 2013

Teri yaad ka matlab,
siyah raat mein shafaq!!
Jaise kaaynat saari,
jaise farsh aur falak!!

Teri yaad ka matlab,
zakhm koi gehra !
Uth.ti hui uss zakhm se,
jaise meethi si kasak!!

Teri yaad ka matlab,
ik orr shabnam hai !
Aur ik orr jaise,
shola - E - dahak!!

Teri yaad ka matlab,
jaise jalte registan me !
Pyase ko mil gayee ho,
dariyaa ki ik jhalak!!

Teri yaad ka matlab,
ik dhundhla sa ateet !
Jiski kahi nahi manzil,
ik lambi si sadak!!

Teri yaad ka matlab,
jaise dono hi jahaan !
Kabhi khaar ki chubhan,
to kabhi phoolo.n ki mehak!!

Sunday 28 April 2013

तामीर-ए -जहान -ए -ज़ुल्मत
जाने कितना मंज़िला
तसल सुल चला न ख़त्म हो
ज़ीनो का सिलसिला

पता नहीं खबर मेरे आने की
उसे हर बार ही होती है
मुझसे पहलइ  हर बार पहुंचा
तेरी यादों का काफिला